RAB SE FARIYAD TO KAR LU | hindi poetry | Shayarix

Tumhe khush dekhana chahata hoon
Chahe main khush na bhi hoon
Saath chalana chahata hu tumhare
Jab haatho me tumhara haath tak na ho
Tumhara paas hona hi mujhe
Mukammal hone ka aihsaas karata hai
Kabhi kabhi toh lagata hai
Rab se tumhari shikayat bhi kar lu
Par tum ho hi itni haseen
Chaand se sundar tum
Mano ya na mano
Par ab tum hi mera chaand ho
Mai nahin yaad karunga tumhe kabhi
Tumhe samne rakh kar
Ek dafa tumhari ibadat toh kar lu

Bhool chuki ho na mujhe
Kisi aur ke khatir
Aaj kitne saal ho gaye
Main tumhe bhool nahin paya
Tumhare chehare ko
Apne aakhon se utar bhi na paya
Raaste ki chinta kise thi
Tum hi toh meri aakhari manzil thi
Mai bhi bhool jaunga tumhe
Poori taraha se
Phir kabhi nahin milunga tumse
Mere dil me basa kar
Ek dafa tumhara didaar toh kar lu

RAB SE FARIYAD TO KAR LU | hindi poetry | Shayarix

Published on 17-May-2020 5:15:03

You may also like this!