Bohat kuch kehana hai tumse
Par samne toh tum hoti nahin ab
Aankhein milau bhi toh kaise
Mujhe dekh kar najare zuka jo leti ho ab
Saath chahiye tumhara
Jab saath nahin hoti ho tab
labzo se baatein bhi tumhari hi hoti hai
Jab samne tum nahin hoti ho tab
Jab zindagi tum hi ho
Toh ha.. Mohabbat hai tumse
Samne aao to kabhi
Haath pakad kar mera
Muskuraoton kabhi
Meri aakhon me tum hi nazar aaogi
Mujse nazare milao to kabhi
Pagal tum hone lagogi
Jab meri jagah par tum khud ko rakhogi
Sapne bhi tumhe tumhare hi aayenge
Ja mujhe tum khud ko dhundane lagogi
Ja aarzoo tum hi ho
Toh ha .. Mohabbat hai tumse
Tumse tumhari hi baatein karna
Acha lagne laga tha
Mano jaise iss banjare ko
milane koi ghar laga ta
Sabse aafreen tum hi ho
Meri nazaro me munaasif tum hi ho
Ab aakhein milani hi hai
Toh chashma jara utar kar aana
Pehle ki taraha mujhe dekh kar
Phir se sharma mat jana
Jab hikayat tum hi ho
Toh ha .. Mohabbat hai tumse
Izhar bhi karna hai tumse
Par karu bhi toh kaise
Tumhe samne dekhkar main
Mano sab bhoolne lagta hu mai
Ab intezaar tumhara hi hai
Tumhare siva ab aur koi achha lagata bhi nahi mujhe
Tumhara hi sirf saath chahiye mujhe
Lo aaj phir izhaar karta hu phir se
Jab dhadakan tum hi ho
Toh ha .. Mohabbat hai tumse
Mohabbat hai tumse